Valentine saath manaya dono pure din office me saath the saath lunch kiya saath coffee pi roj ki tarah . Fir bhi logo ko saq hone laga ki dono date kar rahe hai isi tarah sab chalta gaya Kuch din tak . Kuch din baad sunil ko achhe offer aane ki wajah se usne office chod di aur uske jaane ke baad sneha akeli pad gayi . ab wo fir pahle ki tarah akeli rahne lagi . Agar koi use kuch bolta to wo usse ulta jawab de deti jisse uska logo se jhagda ho jata. Uske jhagda karne ki wajah uske team leader ko samjh aane lagi thi . Sneha ka manager ali ab logo ko kahne laga tha ki koi sneha ko paresan na kare wo tum log ke jaisi nahi hai . Jiski wajah se ab log sneha ko kuch nahi bolte. dheere dheere sneha logo ko samjhne lagi aur log sneha ko samjhne lage 'fir uska jhagda hona band ho gaya' . uske kuch dost ban gaye jo uske saath hi office me aaye the . Sneha ab unke saath ghumne firne lag gayi thi unke saath ab wo lunch pe jati coffee break pe jati yaha waha ki baate ab wo unse baate karne lag gayi. jo sneha kal tak akeli thi ab usne kai dost bana liye the. Agar sneha ko koi kuch bolta to wo uski taraf se ladte kyuki unhe sneha ke tarah sant rahena nahi aata tha . sneha ab pahle se badal chuki thi ab uske ander confident aa gaya tha logo ke baato ke jawab dene ka . Aur ladti bhi kyu na ab uske saath uski dost nazi jo thi . nazi bahut khule mijaj wali ladki thi wo sabke saath jaldi dhul mil jaya karti thi . Use logo ke sawalo ke aur tano ke jawab dene aate the ha wo thodi gussail thi par dil ki bahut achhi thi pahle use lagta tha sneha ek akdu ladki hai par dheere dheere jab wo sneha se baate karne lagi use jananr lagi tab nazi ko pata chala ki sneha kaisi hai .
Sab achha chal raha tha tabhi sneha ke office ke dusre department me ek naya intern aaya jiska naam manav tha . manav it department tha wo dil ka achha tha "use kisi ko na bolna nahi aata tha" . Manav us waqt naya intern tha use kaam ke baare me jyada jankari nahi thi . To uske senior use jitna kaam bolte wo sab kar deta . wo thoda sawle rang ka tha jis baat se use kabhi koi problem nahi huyi . wo galat ho ya sahi bina soche samjhe sari baate muh pe bol deta . manav apne ghar me chota tha jiski wajah se use sab apne kaam karwate . jisse agar uske senior ke alawa koi aur bhi use kuch kaam bolta to wo turant karta tha . manav jis tarah bina soche samjhe bol deta . usi tarah agar use koi kaam do aur usse nahi hota par use us kaam ko karna hota to wo kisi bhi tarah use kar deta tha . Manav ko sab bahut pasand karte the har department me log uski prasansa karte the . Manav ke saath bhi bilkul wahi hua tha jo sneha ke saath hua . manav ke bachpan ke pyaar ne use dhokha diya tha par use dukh jara bhi nahi tha us baat ka kyuki use usko ex ke batane ke 2 saal pahle se ye baat pata thi jisse usko ye accept karne me jyada samay nahi laga . Wo ek khush mijaj ladka tha uska manana tha ki jo jiske saath khush hai use uske saath hi rahena chahiye . Aur wo apni jindgi me ek naye mod ke talas me tha ki use koi aisi ladki chahiye jo bas use samjhe bas uski ho . Uske kaam ke dusre din achanak uske senior ne use cctv ke live footeg ki kuch problem thik karne ko de di .